Saturday, August 16, 2014

puchoongi kabhi

Puchoongi kabhi iss khudi se, ki ankhen toh apni hain, par aansuon ka veg kiska hai? Muskuraahatein toh apni hain, par vyangya mein chipa sach kiska hai? Neendein toh apni hain, par sapnon ki yaadein kiski hain? Kabhi toh puchoongi, ki sawaal toh mere man mein hai, par jhanjhkorna akhir kiska hai?